how to fix cat: invalid option -- '.' in linux
Hello doston apka Swagat hai Hamare blog cybersploit.in mein. Main aaj is Handling a Filename Starting with a Dash (-) blog me ye btane wala hu ki hypen (-) ke sath agar koi file create Kiya Hua Hai To Uske content ko kaise dekh sakte hain. Hypen ke sath file Kaise create kar sakte hain usko remove kaise kar sakte hain. Usko copy kaise kar kar sakte hain usmein agar koi content Mujhe write karna hai to kaise kar sakte hain. Eske alava is problem se related Jo Bhi problem Hai vah Sara Kuchh Is blog Mein ham log dekhne wale Hain Kyunki guys bahut Sare Logon Ko ke sath hi problem Aata Hai. Jab vah hypen (-) ke sath koi bhi file create Kiya Hua rahata Hai. To unko read nahin kar paate hain aur aksar unhen ye invalid option -- '.' Dikhai deta hai. Is blog Mein ham log is problem ko solve Karne Wale Hain jyadatar doston Aise problem Jab aap log CTF solve karte ho to aapko face karna padta hai.
Create file with hypen (-) in Linux
Doston hyphen ke sath file create karne ke liye same tarike ka use karna hai or same command ka use karna hai. Jaise ham log ek normal file create karne ke liye touch command ka use karte hain. Lekin aap ko touch command ke bad -- ka prayog karna hai. Uske bad aapko Apne file ka naam dena hai jaise ki ek example ke liye touch - - -test.txt Is command Ka prayog Karke aap ek successfully file create kar sakte hain. jaise ki main aapko Mein example Mein bataya aap niche Diye Gaye screen short mein aap dekh sakte ho ki main bhi v Apne terminal ke andar same command ka use Karke a Ek new file joki test.txt Ke Naam Se Maine create Kiya Hai.
Write something in this file
Dost Jaisa Ki aapane Dekha Maine successfully ek file create ho chuka hu. Ab is file ke andar Agar Hamen Kuchh likhna Hai To Ham log kaise likh sakte hain. Jaisa ki aap ko pata Hoga Ki ham log ko Linux ke andar Jab Bhi Kisi file ke andar Kuchh write karna Hota Hai. To Ham log Kisi editor (example- Nano or Vim editor) ka use karte hain ya nhi to cat command ka use Karke bhi likh sakte hain. Mein batana Chahunga ki aapko Jaise aap ek normal file Mein Kuchh write karne ke liye jis command ka use karte hain same command ko Yahan per bhi use karna hai, Kintu aapko us command ke bad double hypen ( -- ) ka istemal karna hai.
Example : nano -- -filename ya vi -- -filename ka Use kar sakte hain.
See the content of dash file name
Dosto ab ham log janenge ki use file ke andar kya likha hua hai usko Kaise dekh sakte hain. Doston Jaisa ki abhi tak ham log file create Kiye Hain aur uske andar likhe Hain To same command ka istemal Kiye Hain Kintu command ke bad double hypen ka istemal karna bahut hi jaruri hai Nahin to error dene lagega to Yahan per bhi aapko same command ka use karna hai. Kintu cat command ke bad aapko double hypen ka istemal karna hai Nahin to error show krne lagega Jaisa ki example : cat -- -filename Aapko is command ka use karna hai Jaisa ki aap niche Diye Gaye screenshot mein aap dekh sakte ho main bhi cat -- -test.txt command ka istemal kiya hun.
Delete file with dash filename
Doston agar aap is tarike ke file ko delete karna chahte hain to aapko same command Jaisa ki ham log ek normal file ko delete karne ke liye use karte hain Usi tarike se Yahan per bhi aapko same command use karna hai Kintu Dhyan Rahe Jaisa ki Ham Logon Ne previous mein dekha hai ki double hypen ka istemal karna Jaruri hota hai to Yahan per bhi double hypen use karna hai. Example rm -- -filename
niche Diye Gaye screenshot Mein Mere file ka naam test.txt hai hai. Esliye main filename ke jagah per test rakha hun esliye aapko bhi Apne file ke naam ke anusar hi file name dena hai agar aap unknown filename Denge to file not found ka error dikhega.
Command rm -- -test.txt
Conclusion:
Doston mein Asha Karta Hun Ki aapko Jo Bhi Main is Handling a Filename Starting with a Dash (-) blog mein aapko batane ka koshish kiya hu aapko crystal and clearly samajh mein a Gaya Hoga Agar Nahin Samajh Mein Aaya Hai to oe Agar Kisi Tarah ka is blog me improvement Chahte Hain to aap comment section mein aap comment Karke bata sakte hain mujhe. Main next blog Mein Sudhar kar dunga aur sath hi sath mein yah Asha Karta Hun Ki aapko is blog se dash or hypen Ke Sath file create kaise karna hai use use file ke andar Agar mujhe kuchh content right karna hai to kaise kar sakte hain us file ko modify kaise kar sakte hain use file ko delete kaise kar sakte hain. In Sare sawalo Ka Jawab aapko Mil Gaya hoga.
dosto agar ap linux ke or command ke bare me jankari hasil krna chahte to ap es link pr click krke padh skte hai 30 basics linux command in hindi.
Thanks for reading.
0 Comments